|
Namaz e Eidain ,
2no eidain ki namaz wajib hay, aur jin logon par jumua ki namaz farz hay unhi par eid ki namaz wajib hay, aur jo sharthain namaz e jumua ki hain wohi namaz Eid ki hain, magar eidain ki namaz ka khuthba na tho farz hay aur na hi namaz say pehlay hay, balkay namaz kay baad khuthba parhna sunnath hay,2no eidain ki namaz 2 rakaath hothe hain, in 2no namazon kay liyay azan aur takbeer nahi hothe,
neeyath namaz eid:-
neeyath iss tarha karain kay main eid ul fithr ya eid ul adha ki 2 rakath namaz wajib 6 zayid takbeeron kay saath iss imam kay peechay partha hoon,
tareeqa e namaz:-
neeyath kay baad takbeer e tehreema keh kar haath baand lain aur sana parh lain, phir sana kay baad 2no haath kanon tak uthatay huway Allah o akbar keh kar 2no haath chor dain, phir doosri baar isi tarha karain, phir teesri baar haath kanon tak utha kar Allah o akbar kahain aur haath baand lain, phir ta'aooz , tasmeeya, sura e fathiha, aur surah koye sa bhi parh kar,rukoo karain ( ye ta'aooz , tasmeeya, sura e fathiha aur surah koye sa bhi , ye sirf imam parhay ga),aur 2 sajdain karain, aapki aik rakath poori ho gaye,
iss kay baad 2sre rakat kay liyay kharay ho jayain, phir imam sura e fathiha aur koye bhi surah parh lain, qirath say farigh ho kar kanoon tak haath uta kar Allah o akbar kahain aur haath chor dain, isi tarha doosri aur teesre baar Allah o akbar keh kar haath chor dain, phir baghar hath utayay chothi takbeer keh kar rukoo main jayain,aur 2 sajdain karain, aur namaz poori kar lain,
phir imam kharay ho kar khuthba parhain aur thamaam log khamosh bait kar khuthba sunain, eidain kay 2 khuthbay hain, aur 2no kay darmiyaan baithna sunnath hay, aik raastay say eidgah jana aur doosray rasthay say eidgah say wapsi karna be masnoon hay, eidain ki namaz say pehlay ghar may ya eid gah may nafal namaz parhna jayiz nahi hain, eidgah ko jathay huway aur wapas athay huway takbeer parthay jayain, jo keh ye hay,
Allah o akbar Allah o akbar la ilaha illAllah o wAllah o akbar Allah o akbar wa lillAhil hamd,
|